Now, this is a REAl song!

mein aur meri tanhai,
aksar ye batein karte hain,
tum hoteen to kaisa hota,
tum ye kahtin, tum woh kahtin,
tum is baat pe hairaan hoteen,
tum us baat pe kitanii hansteen,
tum hoteen to aisa hota,
tum hoteen to waisa hota,
mein aur meri tanhai,
aksar ye baatein karate hain

ye kahan aagaye hum,
yunhi sath sath chalte,
teri bahoon mein hai janam,
mere jism-o-jaan pighalte,
yeh kahan aagaye hum,
yunhi sath sath chalte,
teri bahoon mein hai janam,
mere jism-o-jaan pighalate

ye raat hai yaa tumhari zulfein khuli hui hain,
ye chandni hai yaa tumhari nazroon se meri ratein dhuli hui hain,
ye chand hai, yaa tumhara kangan,
sitaare hain yaa tumhara aanchal,
havaa ka jhonka hai, yaa tumhare badan ki khushbooye,
pattiyoon ki hai sarsarahat, ke tumne chupke se kuch kaha,
ye sochata huun mein kabse gumsum,
kay jabkay mujhko bhi ye khabar hai,
ki tum nahin ho, kahin nahin ho,
magar ye dil hai kay keh raha hai,
tum yahin ho, yahin kahin ho.

tuu badan hai mein huun chayaa,
tu na ho to mein kahan huun,
mujhe pyaar karne walay,
tu jahan hai mein wahan huun,
hamein milna hi tha hamdam,
isi raah pe nikalte,
yeh kahan aagaye hum...
meri saans saans mahke,
koi bhina bhina chandan,
tera pyar chandni hai,
meraa dil hai jaise aangan,
hoi aur bhi mulaayam,
meri shaam dhalate dhalate,
hoi aur bhi mulaayam,
meri shaam dhalate dhalate,
ye kahan aagaye hum...

majbur yeh halaat, idhar bhi hain udhar bhi,
tanhai ki yeh raat, idhar bhi hai udhar bhi,
kehne ko bahut kuch hai, magar kisay kahein hum,
kab tak yunhi khamosh rahein, aur sahein hum,
dil kehta hai dunya ki har ik rasm utha dein,
diwar jo ham dono mein hai, aaj giraa dein,
kyon dil mein sulagate rahein, logoon ko bataa dein,
haan humko muhabbat hai, mohabbat hai, mohabbat hai.
ab dil mein yahi baat, idhar bhi hai, udhar bhi

ye kahan aagaye hum, ye kahan aa gaye hum...

1 comment:

Ambreen Haider said...

Too good a song. Extremely well narrated, with enough emotion by Amitabh Bachan.

And always so applicable. Lovely