do lafzoon ki hai, dil ki kahani
yaa hai mohabbat, yaa hai javani

dil ki baatoon ka matlab na pucho
kuch aur humse bas ab na pucho
jiske liye hai, duniya divani
yaa hai mohabbat, yaa hai hai javani

is zindagi ke din kitne kam hain
kitni hain kushian, aur kitne gham hain
lug ja gale se, rut hai suhani
yaa hai mohabbat, yaa hai javani

ye kashti wala, kyaa ga raha hai
koi ise bhi, yaad aa raha hai
jiske liye hai, duniya divani
yaa hai mohabbat, yaa hai javani


do lafzoon ki hai, dil ki kahani
yaa hai mohabbat, yaa hai javani


--The Great Gambler, yet another Amitji Classic! Beautifully performed by Ashaji.

1 comment:

Anonymous said...

Do re me fa so . . . . or at least something like that in the beginning of the song. Haven't heard it in quite a while, but I used to enjoy it a lot.