ye shaam mastani, madhosh kiye jaaye
mujhe dor koi kheinche, terii oor liye jaaye
duur rahati hai tu, mere paas aati nahin
hotoon pe tere, kabhi pyaas aati nahin
aisa lage, jaise ki tu, hanske zahar koi piye jaaye
shaam mastani, madhosh kiye jaaye
mujhe dor koi kheinche, terii oor liye jaaye
baat jab main karoon, mujhe rok daiti hai kyon
teri meethi nazar, mujhe tok daiti hai kyon
teri haya, teri sharam, teri qasam mere honth siye jaaye
shaam mastani, madhosh kiye jaaye
mujhe dor koi kheinche, terii oor liye jaaye
ek ruthi hoi, taqdir jaise koi
khaamosh aise hai tuu, tasvir jaise koi
teri nazar, banke zubaan, lekin tere paigham diye jaaye
ye shaam mastani, madhosh kiye jaaye
mujhe dor koi kheinche, teri oor liye jaaye
--Kishore Kumar, with music by R.D. Burman, from "Kati Patang"
1 comment:
oooh..merci beaucoup, i'm that much wiser now :)
Post a Comment