mein aur meri tanhaee, aksar ye baatein kartay hain
tum hotiin to kaisa hota, tum ye kehtiin, tum woh kehtiin
tum is baat pe hairaan hotiin, tum us baat pe kitni hanstiin
tum hotiin to aisa hota, tum hotiin to waisa hota
mein aur meri tanhaee, aksar ye baatein kartay hain

ye raat hai, yaa tumhari zulfein khuli hui hain
ye chaandni hai, yaa tumhari nazroon se meri raatein dhuli hui hain
ye chaand hai, yaa tumhara kangan, sitaare hain yaa tumhara aanchal
hawa ka jhonkaa hai, yaa tumhare badan ki khushboo
ye pattiyoon ki hai sarsaraahat, ke tumne chupke se kuch kahaa
ye sochtaa hoon mein kabse gumsum
jabke mujhko bhi ye khabar hai, ke tum nahin ho, kahin nahin ho
magar ye dil hai ke keh raha hai, tum yahin ho, yahin kahin ho

majbuur ye halaat, idhar bhi hain udhar bhi
tanhaee ki ye raat, idhar bhi hai udhar bhi
kahne ko bohut kuch hai, magar kisse kahein hum
kab tak yunhi khaamosh rahein, aur sahein hum
dil kehta hai duniya ki har ik rasam utha dein
deewar jo hum dono mein hai, aaj gira dein
kyon dil mein sulagte rahein, logoon ko bataa dein
haan humko muhabbat hai, mohabbat hai, mohabbat hai
ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai, udhar bhi


Amitji is KING and Javed Akhtar has words to express every single emotion a man can feel in the most gloriously romanticised way imaginable.

If anyone has the song "Tu maike mutt jaiyyo" from the film Pukar, please email it to me at saadakhtar@gmail.com

No comments: